Friday, 20 May 2016

Heart Musiqua - "Kuch Kahaniyan"

Heart Musiqua 

Presents

KUCH KAHANIYAN


Kuch Kahaniyan 
nahi chapti
bas dilon mein
dafan rehti

Kuch Kahaniyan
nahi mit ti
bas dilon mein
sada rehti

Kisi ne na suna 
Kisi ne na padha 
hai har lafz aansoo se
hai likha

Kisi ko na dikha 
Kisi ko na pata 
Kaise mein aaj yahan
hun pahauncha

Yeh sach hai khuda
der se bhala 
tune suna sab hai diya
kuch na kaha

Yeh kahani.. Poori huyi
Zindagi nayi ab shuru huyi.

© Copyright 2016 Heart Musiqua 


No comments:

Post a Comment