Friday 6 May 2016

SawaaL

SawaaL 


"Kyun yeh khwaishein
milti hain kiston pe
chahun mein inhe par
hoti hain Thandi Baarishein
waqt badhta hai 
par lagta thehra hai
leke zindagi ko yeh mere
jaisey koi khilona hai
zindagi yeh ek sawaal hai
jiska na koi jawaab hai
dhundoon mein khud ko yahan
aajata phir toofan hai

Sunsaan raaston par
chaya kohra hai
manzil kahin nahi
aage ghana andhera hai

jaun toh jaun kahan
milta na koi yahan
khud ko deke sahara
chalta rahun mein yahan

Dekhe hai yeh duniya
dekha yeh sansaar
Dosti yeh kaisey
hain dushman hazaar
koi na chahe
jaaon sarhad paar
dhoondne is sawaal ka jawaab

Zindagi yeh ek sawaal hai
jiska na koi jawaab hai
dhundoon mein khud ko yahan
aajata phir toofan hai.

youtube - https://youtu.be/wYGjrywxSBk
download - http://picosong.com/KBtd

© Copyright 2016 Heart Musiqua 


No comments:

Post a Comment